- Farhat Shaikh
Letter from Nowheres

Priya Maanavjaati,
Tumhe maine kaid kar liya hai
Tumhari hi duniya me
Ab tum bhaag kar bhi kahan jaoge?
Unn koochon pe jin par ek chai ka ghoont chainn se peete the
Woh aaj khaamosh pade hain.
Woh galiyaan, woh chehal pehel, sab maano mar chuka ho
Ghar ki dehleezein kaidkhaane sa mehsoos hoti hain na tumhe?
Mujhe bhi hoti thi, jab tum mere pancchhiyon ko pinjre me daal kar ek khilona bana lete the
Tumhara chidiya ghar kabhi meri chidiyon ka ghar nahi bann saka.
Mere samundaron ko tum baandh bana kar apne haath me le liya karte the unka aazaad hona tumhe bhaaya nahi
Par meri har santaan tumhare liye marr mitt hi nahi sakti
Tumhe maar bhi sakti hai
Haala'nki yeh tumhe pata toh tha, magar tum kisi ki sunnte thodi ho,
Bas apni mann-maani karna chahte ho
Dekho main tumhari dushmann nahi hoon
Par tum mere bann gaye the
Ab khade khade dekhna toh meri fitratt hai nahi, issliye ab tum dekho.
Tumhari,
Dharti.
-Somiya Mohammed